Surprise Me!

Arif Aur Moarif Kon Hotay Hain | Majzoob Kon Hota Hai | FH Offical

2025-04-15 3 Dailymotion

Yeh video arif aur moarif kon hotay hain,majzoob kon hota hai k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ka talbeen e haq se ruhani khitab jis mein apne irshad furmaya k “aik arif hota hai aur aik moarif hota hai,in ki tashreh b kar dain,arif woh hota hai jo allah kop any k leye din raat ebadat kartay hain,namaz,nawafil,tilawat,zikr o azkar karta hai,phir aik waqt aata hai jab allah us par apni tajjuli dalta hai.woh tajjuli us k jism par parti hai to us ka jism wali ban jata hai,aub woh apne is jism k sath Hazoor pak (s.a.w.w) ki mehfil mein ja sukta hai.aub moarif kon hota hai?moarif log apne jism ki bajaey apne ander ki ruhani makhluqat ko zikr e allah se tuyar kar k jism k bahir khura kar daita hai,aub jab allah ki tajjuli aati hai to woh us ki kisi ruhani mukluq par parti hai to us ki woh rooh wali ban jati hai.arif ka jism wali bana aur moarif ki rooh wali ban gaie.arif ko yeh khutra b hota k ager woh allah ki tajjuli ko bardasht na kar sukta to ya majzoob ho jaey ga ya phir mar jaey ga.jab k moarif rooh k zarey wali bana,aub Hazoor Pak (s.a.w.w) ki mehfil mein arif betha hota hai to Hazoor Pak (s.a.w.w) kisi se koi baat kartay hain to arif pochta hai k ap kis se baat kar rahy hain mujy to woh nazar nahin aa raha.to Ap (s.a.w.w) furmaty hain k main us se baat kar raha hon jis ka jism donya mein aur rooh mere pas hai.phir namaz ka waqt aa jata hai to hukam hota hai k sub jismani waliyat waly apne apne juga ja kar namaz parhain warna wilayat sulb ho jaey gi.aur moarif apni us rooh k zareye Hazoor Pak (s.a.w.w) ki imamat mein namaz adda karta hai.is ko moarif kehtay hain.aur jis par tajjuli pary aur woh bardasht na kar sukay us ko majzoob kehtay hain.